page contents pravin_doctor - Ashiq shayari2 If any suggestion please write me at pravin_doctor@rediffmail.com
   
  pravin_doctor
  Ashiq shayari2
 

Khali shishe bhi nishaan rakhte hain...
Tute hue dil bhi armaan rakhte hai...
Joh khaamoshi se guzar jaye,
Woh dariya bhi dil me toofan rakhte hain......
samandaron ko sahil se takrana hi padta hai..
armano ko juban par aana hi padta hai..
kitni bhi sard kyon na ho judai ki khamoshi,
ishq ki loh mein ushko bhi jal jana hi padta hai..

Deewangi kisi ki dekhkar
Woh humara zikr bhi mehfil mein lata hoiga?
Ek arsaa beetaa bachpan khoye
Kya usko bhi wohi bachpan
Humari tarah satata hoga??


Humhe tumse pyar hai itna,
Nadi ko sagar se ho jitna,
Bhavre ko phool se ho jitna,
Zameen ko asman se ho jitna,
Humhe tumse pyaar hai itna.

Yeh dil tumhara humhe ,
Humhe jaan se bhi jyada hai pyaara.

Yeh jaan tumhari,
Hai amanat tumhari.

Man tumbin aise udas,
Paro ke bina jaise devdas.

Zindagi men aapki kami,
Le aati hai aankhon mein nami.

Jabse tum ho humhe mile,
Baharon mein hai jaise phool khile.

Man samjhaye na samjye,
Pyaar ka diya bujhaye na bujhe.

Ab to sirf tumhara intazar hai,
tum bin jina bekar hai.

Jab jab hoti hai barsat,
Man yahi hai sochta kab hogi mulaqat.

Jabse zindagi mein tum ho aye,
Din mein chain aur raat ko neend na aaye.

Kisi ko kise se pyaar kyun hai hota,
Kuyun dard aapko ho aur dil humara hai rota.

Chalte chalte aap mil gaye ho aise,
Sapno ka koi rajkumar ho jaise.

Rab se agar kuch mang paye ,
To aap ke liye khushiya hi khushiyan laye.

Kal tak jo aankhon main banke rahta tha sapna,
Aaj who ban gaya hai mera aapna.


Na main hoon koi pari na koi nazani,
Tumne hum mein kya dekha yeh humhe pata nahin.

Maut bhi agar aapko humse chena chahe,
To humhara pyaar uska bhi dil jeet laye.

Rab bhi agar aapke jagah lena chaye,
To uske liye use bhi sat janam kam pad jaye.

Humhe aapse pyar jai kitna yeh hum nahin jaante,
Magar ji najhi sakte tumhare bina
vo sila mila hai mujhko teri dosti kay peechay

kay hazarro gam milay hai mujhko teri zindgi kay peechay

kai baar luht chuka hu teri aashqi kai peechay

mujhay dosto nai luta teri dosti kai peechay

khatm na hua yeh silsila hamara uuh lut lut kay janay ka

hamay toh maut nay bhi luta uski zindgi kay peechay
Hum iss qadar tumpe mar mittege
tum jahan dekhoge hum hi tumhe dikhege
rakhna har pal iss dil mein hamari yaad
hamare baad hamare pyar ki daastaan duniya vaale likhege
Meri in bechain aankhon ko ab tere siva koi nahin bhata
Tu utri iss kadar dil mein ki koi tuja na ab iss mein samata
Mujhpe kuch to reham kar o be-adab aur samajh mere pyar ko
Main bhi to hoon pareshan apne dhadkano se,
Jinhe tera naam liye bina ab dhadakna nahin aata
Tere pyar ne mujhe jo kuch bhi diya hai
Saath janam saath rehega itna kuch diya hai
Tumhare saath bitaye kuch lamhein aise hain
Lagta tumne baharon sa sansar diya hai
Baahar phoolo par shabnam ki nami hai
Aur in sadko par baraf bhi jami hai
mausam bhi manzar bhi mein bhi
kahte hai bas jaana teri kami hai "
Hoti hai jab tu,
Saamne Nazar ke...
Nahin dekhta tujhey,
Yeh sooch kar...
ki kahin lag na jaae
tumehey meri nazar.
Nahi sochta hoon
apney khyaloon mein
ki ho na jaaye
bedard jamane ko khabar
hoti hai jab khwaboon main tu
saath mere or meri tanhai me
soochta hoon us waqt
choom hi  leta haath tumahrey
ban ke haqiqat
Saamney tu aa jaye agar
'Gar na haasil hua woh mujhe toh kasam hai teri ya Khuda
Aayegi qayamat teri iss qayanaat mein sun ke meri dil ki shada
Tootega yakeen duniya ki aisi teri sarparashti par se
Hogi badnaam mohabbat, jo hui meri jaan mere rooh se jooda....
aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah
haath aaye na sitaare tere aanchal kii tarah

raat jalatii hui ik aisii chitaa hai jis par
terii yaadein hain sulagate huye angare kii tarah

tu bhii dariyaa hai magar merii tarah pyaasaa hai
main tere paas chalaa aaungaa baadal kii tarah

main hu ik Khvaab magar jagatii aankhon kaa
aaj bhii gavaa na de na mujhe kal kii tarah
Ye Dil Mein Rehne Wale Dil Se Nahin Nikalte
Baadle Hazaar Mousam Rishte Nahin Badalte
Dil Mein Rehne Wale Dil Se Nahin Nikalte

Rahon Mein Chalte Chalte Koii Aisa Mod Aaye
Jo Jaan Se Ho Pyaara Wo Pal Mein Chhod Jaaye

Dil Hain To Kyun Na Pighle Patthar Nahin Pighalte
Baadle Hazaar Mousam Rishte Nahin Badalte
Rishte Nahin Badalte
Dil Mein Rehne Wale Dil Se Nahin Nikalte

Taqdeer Ka Sitaara Bhale Gardishon Mein Aaye
Rishton Ke Aaine Pe Kabhi Dhoul Jam Na Paaye

Insaan Nahin Hain Wo Jo Gir Kar Nahin Samhalte
Baadle Hazaar Mousam Rishte Nahin Badalte
Rishte Nahin Badalte

Dil Mein Rehne Wale Dil Se Nahin Nikalte
Baadle Hazaar Mousam Rishte Nahin Badalte
Rishte Nahin Badalte_Rishte Nahin Badalte

 



 
 
  Today, there have been 29 visitors (35 hits) on this page!  
 
copyright by @ dr.Pravin Kucha - 2010
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free