page contents pravin_doctor - shayari20 If any suggestion please write me at pravin_doctor@rediffmail.com
   
  pravin_doctor
  shayari20
 
72. Jhele Hain Kahi Gam Humne Bhi,
Na Socho Ki Akele Hain Hum Abhi,
Lekin Jo Sahara Bana Tha Humara,
Ab Lagne Laga Kyun Who Bhi Ajnabi?

73. Na Vo Aa Sake, Na Hum Ja Sake,
Dard Dil Ka Kisi Ko Na Suna Sake,
Yado Ko Lekar Baithe Hai Aas Mein Unki,
Na Vo Bhula Sake Na Hum Bhula Sake.


74. Zindagi Bitayi Humne Ibadat Me,
Duaon Me Sabko Shaamil Kiya,
Arzoo Ki Jab Khud Ke Liye,
Khuda Se Hume Kuch Haasil Na Hua.


75. Kaise Kahoon Ke Apna Bana Lo Mujhe,
Bahon Mein Apni Sama Lo Mujhe,
Pal Pal Tere Bin Jeena Kathin,
Tum Aakar Mujhi Se Chura Lo Mujhe.


76. Yeh Kaisa Nasha Hai Jo Behka Raha Hai,
Tumhari Hoon Main To Sambhalo Mujhe,
Najane Fir Kaise Guzre Zindagani,
Agar Apne Dil Se Kabhi Tum Nikalo Mujhe


77. Muskurate Chehre Se Gam Ko Chupaya,
Gam Ko Chupane Ka Yahi Rasta Nazar Aaya,
Kisko Dikhate Behte Ashkon Ka Sabab,
Ke Dard-E-Dil, Dil Mein Kisne Jagaya.


78. Wafaon Ka Iqrar Kar Hi Liya Toh,
Zamane Se Kyun Darne Lage Ho,
Raah-E-Ishq Mein Aati Hain Mushkilein,
Abhi Se Magar Tum Thakne Lage Ho.


79. Der Se Sahi, Magar Jaana Hain Usko,
Anjaane Sahi, Magar Pehchana Hain Usko.
Ab, Beshakh Dubo De Woh Dil Ki Kashti,
Sahil Mana Hain Usko.


80. Kabhi Apna Anjan Ho Jaata Hai,
Kisi Anjan Se Pyar Ho Jaata Hai.
Zarori Nahi Jo Khushi De Usi Se Pyar Ho,
Dil Todne Waalon Se Bhi Aksar Pyar Ho Jaata Hai.


81. Tadapte Hai Din Raat Par Jatate Nahi,
Haal-E-Dil Koi Pooche Hum Batate Nahi,
Sunkar Aapko Janab Hogi Hairat!
Hum Unhe Pyar Karte Hai,Jo Hume Chahte Nahi.


82. Aye Khuda Ankho Ko Kuch Aisi Khudai De,
Jidhar Dekhu Udhar Vo Dikhai De,
Kash Aisa Taalmel Ho Hawa Me,
Unko Pukaru Aur Unhi Ko Sunai De.

83. Wafaon Ka Iqrar Kar Hi Liya Toh,
Zamane Se Kyun Darne Lage Ho,
Raah-E-Ishq Mein Aati Hain Mushkilein,
Abhi Se Magar Tum Thakne Lage Ho.

84. Har Ek Roop Mein Khoob Sajne Lage Ho,
Baharon Ki Ruth Mein Nikharne Lage Ho,
Irada Na Karna Bichadne Ka Ab Tum,
Ke Ab Apne Apne Se Lagne Lage Ho.


85. Kagaz Pe Jab Zindagi Likh Di,
Ashkon Ki Syahi Se Har Khushi Likh Di;
Dard Ko Jab Utaara Lavzon Me, Logo Ne Saraha,
Wah! Kya Gazal Likh Di.


86. Chalti Zindage Me Aya Ek Mod,
Hosla Kahan Ki Jaun Us Or;
Dil Me Lehron Ka Shor, Khinchti Lehre Gehrai Ki Or;
Khara Pani Mera Wajud Ab Mile Na Mile Chhor


87. Dil Ka Sacha, Hai Thoda Deewana Toh Kya,
Fitrat Hamari Yaarpe Mar Mitna,
Jal Uthe Zamaana Toh Kya Ode Hue Hai Chehrepar Naqab,
Tumne Na Pehchana Toh Kya


88. Kaise Batau Use, Nahi Isme Koi Meri Khata,
Khel Hai Ye Sitaro Ka, Ae Chand Tu Use Bata;
Bandish Hai Ye Fizao Ki,
Aa Maangle Khudase Ek Umr Duvaoki.


89. Rehti Thi Woh Saath Sada, Woh Hi Soch, Woh Hi Thi Ada;
Aaj Bikhar Gayi Ek Ajnabi Ki Tarah,
Khwaish Hain Khud Hi Se Milne Ki, Phir Ek Baar!


90. Pal Pal Dhadkane Bekarar, Na Khud Pe Eitbar Na Dil Pe Ikhtiyar;
Unhi Ko Bhulane Ki Koshish, Karti Aankhen Unka Intezar;
Aur Kya Kya Dikhaega Pyar?


91. Sajaa Pyar Se Gudiyon Ka Mahal, Maa Ka Aanchal, Babul Ka Pyar;
Kya Khabar Gudiya Ko, Milegi Kisise Nazar,
Apne Ho Jayenge Begane, Chooth Jayega Ghar.


92. Dil Behkati Hawaein, Mann Harti Khushboo;
Anjaane Khwaab, Meetha Sa Jadoo; Koi Nahi Paas,
Phir Bhi Tumhara Ehsaas; Kaise Kare Eitbaar, Yahi Hain Pyaar.


93. Arzue Muhobbat, Le Aayi Hai Aap Tak;
Kisiko Chahneki Shiddat, Le Ayi Hai Aap Tak;
Nahee Tha Malum! Shuru Hoti Hai Zindagi Tumse Aur Pahunchti Hai Aap Tak

94. Pyar Layegi Majbooriyan, Kya Darayegi Pareshaniyan;
Hum Mitenge Likhkar Phalak Par, Apne Prem Kahaniyan.

95. Bhor Ki Gulabi Waadiyan, Khilti Kaliyon Ki Khushboo; Gharon Ko Chodte Panchee, Nikalne Ko Aftaab Bekaboo; Kya Jaane, Kaun Jagata Hain Yeh Jadoo?


96. Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Arman Ban Jaye,
Jab Kisi Ki Hasi Kisi Ki Muskan Ban Jaye;
Bepanah Pyar Kehte Hain Use,
Jab Kisi Ki Saanse Kisi Ki Jaan Ban Jaye.


97. Unhe Dekh Kuch Kar Guzarne Ko Jee Chahta Hai,
Na Jane Kyo Ishq Ki Aag Me Nikharne Ko Jee Chahta Hai,
Sanam Ki Bazuo Me Bikhar Ke Rone Ko Jee Chahta Hai.


98. Tu Kabhi Mile Is Tarah, Aasmaan Me Khila Ho Chand Jis Tarah;
Ho Beech Raat Ka Woh Pahar, Chhaya Ho Teri Ankhon Ka Nasha,
Aur Haya Me Doobi Ho Meri Nazar.


99. Doobe Armanon Ki Kahani Hai Yeh,
Chehre Ki Muskurahat Nahi Purane Zakhmon Ki Nishani Hai Yeh.


100. Dil Walon Ka Apna Jahan Hota Hai,
Zindagi Junoon, Ishq Imtihaan Hota Hai;
Bemaut Mare Jate Hain Muhobbat Mein,
Marne Ka Shauk Kahan Hota Hai.


101. Tera Hath Hathme Ho Agar, Gum Ki Kya Bisat Hai;
Humko Kanton Ka Ashiyan Hai Manzoor,
Bus Itna Kehde Khuda, Meri Takdir Tere Sath Hai.


102. Rakhkar, Teri Hatheli Par Hath Mera;
Kuch Der, Ankhein Moondein Khamosh Baithe Hum,
Aur Mein Kar Doon Tere Khwabon Ka Savera


103. Choti Si Dosti, Anjani Mulaquate;
Pal Bhar Mein Khatam Hote Din,
Khayalon Me Doobi Lambi Ratein;
Yehein Seh Shuru Hota Hai Pyar, Hai Na?


104. Ab Mile, Jo Sila Mile Muhobbatka,
Chun Liya Rast Ulfatka;
Ab Nahi Darati Qayamate, Ab Nahi Rulati Musibate;
Jan Liya, Hai Muhobbat Dusra Nam Ibadatka.


105. Pahli Barish, Bhiga Mausam;
Unki Yadein, Ankhein Num;
Na Jaane Kis Rah Se Voh Guzre;
Har Rah Par Ankein Bichaye Baithe Hum.


 
 
  Today, there have been 73 visitors (82 hits) on this page!  
 
copyright by @ dr.Pravin Kucha - 2010
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free