page contents pravin_doctor - Ashiq shayari4 If any suggestion please write me at pravin_doctor@rediffmail.com
   
  pravin_doctor
  Ashiq shayari4
 



dilse phool bankar hum mehek na jante hai,
muskurake hum gum bhulana jante hai,
log khush hote hai humse kyuonki,
bana mile hi hum riste nibhana jante hai......


keh diya dil ne tumhein apna,
Ab kaise hothon se hum izhaar karein,
Dekh kar tumhein jhuk jaati hain yeh gustaakh nazarein,
Ke kis tarah tumse dil ki baat karein.
Tum bhi jaante ho mere dil ka har ehsaas,
Ab aur kaise hum yeh jazbaat bayaan karein.


Sirf isharon mein hoti mohabbat agar,
In alfazon ko khubsurati kaun deta,
Bas patthar bann ke reh jata "TAJ MAHAL",
Usey ishq ki pehchaan kaun deta.


Aashiq hain hum,maut ke saaye main sote hain,
Dard mein nahin,bas tujhe yaad kar ke rote hain,
Ajnabi ho gaye hum khud se,aur duniya se anjaan hue,
Tere ishq mein mere mehboob,hum to muft mein badnaam hue.


Khuda kare kayamat mein meri jab,
Mere mehboob se mulakat ho,
Jalne lage yeh dharti agar,
Meri aankhon se barsat ho.

Khuda kare kayamat mein meri jab,
Mere mehboob se mulakat ho,
Bayaan ho jaye haal-e-dil,
Par na zubaan se koi baat ho.

Khuda kare kayamat mein meri jab,
Mere mehboob se mulakat ho,
Ek dum se wahin ruk jaye,
Mere dil mein jo bhi jazbaat ho.

Khuda kare kayamat mein meri jab,
Mere mehboob se mulakat ho,
Bas kuch aur derr tham jaye jaan,
Chahe saanso ka bhi naa saath ho.

Khuda kare kayamat mein meri jab, 
Mere mehboob se mulakat ho.


Kiya hai tumne humse,ek waada yaad rakhna,
Bhool na jana kahin,apna iraadaa yaad rakhna.

Ab na humein rulana tum,ab na durr jana tum,
Pehle hi seh chuke hain,dukh itne zyada yaad rakhna.

Dil to na dukhaoge,mujhe chhod to na jaoge,
Dil mein main hi basse ho tum,ab isse abaad rakhna.

Tum jo chhod jaoge,hum to mar hi jayenge,
Tumhare dum se hai,zindagi sirf itna yaad rakhna.

Chahaton ki duniya mein,roshni tumhi se hai,
Dil tod kar humein chhod kar,kahin na jana yaad rakhna


Chori chori raat ke andheron main aa rahi thi,
Shiddatein yaad aa aa ke mujhe bahut rula rahi thi.

Tere honton se kahi ik ik baat wo,
Iss subah ki shabnam dikha rahi thi.

Dil ki gehraai se aaj mil ke,
Saanso se teri hi mehak aa rahi thi.

Hum qalaam ban gayi dhadkane bhi,
Zikar tera teri awaaz main soona rahi thi.

Raat ke in andheron mein aa kar,
Chup ke se bazuo mein soola rahi thi.

Tu bhi mujhe yaad kar raha hoga, 
Hichkiyan aa ke yeh bata rahi thi.


Main tujh ko bhula dooon,jo chahe saza dena,
Mujhe yoon hi bura kehna bhi acha nahi lagta,
Tu meri mohabbat hai aisa ik baar yeh kehta hoon,
Har baar bhi dohrana mujhe acha nahi lagta,
Mera tum se jo rishta hai hum dono samajhte hain,
Har aadmi ko bhi samjhana mujhe acha nahi lagta.


Khairiat hai mere iss dil-e-badnaam ki,
Zaroorat hai mujhe kisi dilnasheen insaan ki,
Pyar karne ka tarz mera zehen mujhse kar chuka hai,
Chahe ho jitni khushi par dard mein kyun hota har insaan akela hai,
Saath de tu agar to main tera rang bann kar uss asmaan pe chhaa jaon,
Kar doon guzarish khuda se ya bin puchhe tujhe wo chaand ka nazrana le aaoon,
Badnaami ki hai chhaaw kahin,to kahin se tumhare liye din ka ujala le aaoon,
Bas ab yahi hai guzarish iss kalam-e-paritish ki,
Zaroorat hai mujhe kisi dilnasheen insaan ki.


Tamannao se bhari ho zindagi,
Khwahish se bhara ho har pal,
Daaman bhi chota lagne lage,
Itni khushiyan de aap ko aaj ka har pal.


 

jab likh rhe the sher apki aarzu mein,
to socha ki kalam se ibadat kre,
ae kalam likhna use paigamaaj aisa ki,
humara sanam humse na sahi tumse to mohobbat kare

Rakha hai naam uska mohabbat humne....
Saari duniya se chupayi hai apni chahat humne....
Laga ke dil tujhse ae meri jaan....
Ki hai sabse bagavat humne....!!
Mohabbat ka kya hai kabhi bhi ho jati hai,
Har kisi ki aankho me bas nami chod jati hai,
Humne ki mohabbat to haal hua aisa,
Jaise Taaro ke beech ek shaam guzar jati hai.

Ye Aarzoo hai meri tuzhe khudse zada chahun…
Main rahoon na rahoon meri wafa yaad rahen.
Sachcha hai pyar aazmake dekh lo,
karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo.
badalta nahi kabhi sona apna rang,
chahe jitni baar marzi aag me jalaake dekh lo.

 Kisine dil ko is kadar choo liya ke
hum kisi aur ko choo na sake,
Hum to chale the unko dost banane
magar who to dhadkan bante chale gaye.
\r\nTaraste the jo humse milne ko kabhi,
Aaj kyun mere ssaye se katraate hain.
Hum bhi vohi hain, dil bhi vohi hai,
Na jaane log kyun badal jaate hain.

Shayari likhna kaun jaane?
Shayari to khud-ba-khud ban jaati hai...
Jab dil bhar aata hai ashiq ka..
Kalam khud-ba-khud chal jaati hai..!!


 
 
  Today, there have been 57 visitors (63 hits) on this page!  
 
copyright by @ dr.Pravin Kucha - 2010
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free