page contents pravin_doctor - Shayari If any suggestion please write me at pravin_doctor@rediffmail.com
   
  pravin_doctor
  Shayari
 
YE MAT SOCH KE KITANE PAL KI ZINDGI HAI ,
PAR YE SOCH KE HAR PAL ME KITANI ZINDGI HAI

Har pal me pyar hai, har pal me khusi hai,
 jilo zindgi hai, kho do to yade hai....HP

Koi apana hai to hi muje pyara hai our me usaki madad karu,
ye to apane aap se pyar karane jaisd ho gaya,
our pyar hamesha dusaro se kiya jata hai,
khud se nahi...

Pyar ka izhar har koi apani tarah se karata hai,
koi likhata hai koi kehata hai,
par vo pyar ka izhar anmol hai
jis ke liye ashiq marata hai....kp

Hum mitti ke ashiyane banate gaye,
unhe bana banakar mitate gaye,
koi na bana sako hum ko apana,
hum sab ko apana banate gaye...

Aap milo ya na milo milane ka koi gam nahi, pas se gujar jao milane se kam nahi, mana aap ko kadar nahi, magar unse puchho jis ke nasib me hum nahi...
Bagair jan pehchan ikarar na kije,
muskurake dil ko bekarar na kije,
phul bhi de jate hai zakhm gehare,
har phul pe yu aitbar na kije...

Koi khat nahi koi khabar nahi,
aap ko shayad hamari kadar nahi,
hum to yad karate hai aap jan ko jalakar,
shayad aap ko humari jaan ki koi fikar nahi...

Phul ki tarah hasate raho to hum khush hai,
dil kholakar jia karo to hum khush hai,
ye nahi kehate ki roz mila karo,
bas roz yad kar liya karo to hum khush hai..

Hum vo nahi jo tuje gum me chhod denge,
hum vo nahi jo tujh se nata tod denge,
hum to vo hai jo agar teri sans bandh ho gayi
 to apani sans jod denge...

Vo dil hi kya jo milani ki dua na kare,
 tuje bhulakar jiu khuda na kare,
rahegi teri yad meri zindgi banakar,
ye bat our hai agar zindgi vafa na kare...

Zindgi me kabhi pyar mat karana,,
ho jaye to inkar mat karana,
nibha sako to chalana usaki rah par,
varana kisi ki zindgi barabad mat karana...

Vo lout ayegi meri zindgi me,
jis ka intzar mujhe aaj bhi hai,
mana ki vakt ne ki bewafai mujh se,
lekin meri duao me asar aaj bhi hai...

Hum se døør jaoge kese?,
dil se hume bhulaoge kese?,
hum vo khushbu hai jo sanso me basate hai,
khud ki sanso ko rok payoge kese...?

Sabhi nagme saz me gaye nahi jate,
sabhi log mehafil me bulaye nahi jate,
kuchh pas rahakar bhi yad nahi ate,
kuchh dur rahakar bhi bhulaye nahi jate...

Sukun dil ka diya hum ne har pal jin ko,
unhi ke hatho se hum dil par zakhm khaye hai,
nazar utha ke dekh le zara,
ke hum chaman se uthake bahar laye hai...

Log apana banakar chhod dete hai,
rishta gairo se jod lete hai,
hum to ek phul bhi na tod sake,
log to dil bhi tod dete hai...HB

Kya jane kab maut ka paigam aa jaye,
na jane kab zindgi ki sham aa jaye,
A SANAM...Muje us din ka intzar hai,
jab ye zindgi tere koi kam aa jaye...

Unki musakan hamari kamzori hai,
nahi keh pana hamari majaburi hai,
wo kyu nahi samaje hai hamari khamoshi ko ?,
kya khamoshi ko juban dena jaruri hai...HB

Wo chan jese asamame chamakate rahe,
hum ratbhar unki chamak me khoye rahe,
janate the kabhi na pa sakenge unhe,
phir bhi har duao me unhi ko mangte rahe...HB

Dard ko sine me kab tak sambhala jayega..?
Aayega vo din jab is ko nikala jayega,
 yu bhi dil me pal rahe hai duniya bhar ke dardo gam,
gam tera bhi mil jaye to us ko bhi pala jayegd...

Dhalati sham ka khulla ahesas hai,
mere dil me teri jagah kuch khas hai,
 tu nahi hai yaha malum hai mujhe,
par dil ye kehata hai tu yahi mere pas hai...

Aisa nahi ki aap ki yad nahi aati,
khata sirf itani hai ki hum batate nahi,
aap anmol ho hamare liye,
samjate ho aap isiliye jatate nahi...Dh_Bh

A Khuda apane chand par itana gurur na kar,
ek chand sa yar hum bhi rakhate hai,
jab tarif tere chand ki hoti hai,
log mishal mere yar ki dete hai...

Chup rehate hai ki koi khata na ho jaye,
hum se koi ruswa na ho jaye,
badi mushkil se koi apana bana hai,
darate hai mil ne se pehale hi juda na ho jaye...

Qayamat tak aap ko yad karenge,
aap ki har bat par aitbar karenge,
aap ko aane ko nahi kehte,
phir bhi aap ke ane ka intzar karenge...

Ansu tere nikale to ankh meri ho,
dil tera dhadake to dhadakan meri ho,
khuda kare rishta hamara itana gehara ho,
sans teri ruke our mout meri ho...Dh_Bh

Na khabo me dekha na nazaro me dekha,
hazaro me hum ne ek tum hi ko dekha,
gam dene vale to har pal hai yanha,
har pal khusi dene valo me ek aap ko hi dekha...P

Be wajah kisi kn satana nahi,
had se jyada kisi ko tadapana nahi,
jin ki sanse chalati ho aap ke lafzo se,
unhe apani avaz ke liye kabhi rulana nahi..


 
 
  Today, there have been 49 visitors (55 hits) on this page!  
 
copyright by @ dr.Pravin Kucha - 2010
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free