page contents pravin_doctor - shayari18 If any suggestion please write me at pravin_doctor@rediffmail.com
   
  pravin_doctor
  shayari18
 

1. Yaadein Jo Na Aati,
Yun Khamoshi Chupke Chupke..
To mere ghar ki Raunaq Hoti
Teri Mehfil Se Bhi Zyada..


2. Khushiyon Par Fizaon Ka Pehra Hai,
Na Jane Kis Umeed Pe Dil Thera Hai,
Teri Ankhon Se Jhalakte Dard Ki Kasam,
Yeh Dosti Ka Ristha Pyar se Gehra hai.


3. Zindagi Taj Mahal Ho Jaye,
Chandani Khil Ke Kamal Ho Jaye,
Tum Jo Ban Jaao Dost,
Mere Dil Ki Dhadkan Bhi Ek Ghazal Ho Jayegi.


4. Yaad Karne ki Koi Cheez Chahiye,
Aap Nahi To Aapki Taswir Chaiye.
Par Taswir Hamaara Dil Behla Na Sakegi,
Kyonki Yeh Aapki Tarah Muskura Na Sakegi.


5. Suraj Paas Ho Na Ho Roshni Aaspaas Rehti Hai,
Chand Pass Ho Na Ho Chandni Aaspaas Rehti Hai,
Aur Aap Paas Ho Na Ho,
Apki Yaad Hamesha Sath Rehti Hai.


6. Log Barson Juda Hoke Jeete Hain,
Magar Apna To Yeh Haal Hai Sanam,
Ek Pal Ek Din Jee Sakenge Na Hum
Ek Duje Ke Bina.


7. Aasan Nahi Hota Kisi Ko Bhulana,
Chahe Vo Apna Ho Ya Begana.
Dil Ki Batein Bas Samajhta Hai Dil Hi,
Inhe Kya Samjhega Ye Zalim Zamana.


8. Ishq Ke Bhi Andaz Hote Hain,
Jagti Ankhon Mein Bhi Khawab Hote Hain.
Zaroori Nahi K Gam Mein Anshu Nikle,
Muskurati Aankhon Mein Bhi Sailab Hote Hain.


9. Chehrey Par Banawat Ka Gussa,
Aankhon Se Chalkta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye,
Inkar Bhi hai, Iqraar Bhi Hai.


10. Har Baar Dil Se Yeh Paigaam Aaye,
Zubaan Kholu To Tere Hi Naam Aaye.
Tum Hi Kyon Bhaye Dil ko Kya Malum,
Jab Nazroo Ke Saamne Haseen Tamaam Aaye.


11. Abhi To Baaj Ki Asli Udaan Baaki Hai,
Abhi To Aapka Imtihan Baaki Hai,
Abhi Tak To Aapne Zamin Dekhi Hai,
Abhi To Pura Aasmaan Baaki Hai.

12. Ek Ada Aapke Dil Churane Ki,
Ek Ada Aapke Dil Me Bas Jane Ki.
Chera Aapka Chand Sa,
Aur Ek Zid Hamari Chand Pane Ki.

13. Nazar Tumhari, Nazar Hamari,
Najar Ne Dil ki Nazar Utari.
Nazar Ne Dekha Nazar Ko Aise Ki..

Nazar Dosti Ko Lage Na Hamari.


14. Nanhe Se Dil Mai Armaan Koi Rakhna,
Dunya Ki Bheer Me Pehchan Koi Rakhna.
Ache Nahi Lagte Jab Rahte Ho Tum Udaas,
In Hoton Pe Sada Muskaan Yehi Rakhna.


15. Jhele Hain Kai Gam Humne Bhi,
Na Socho Ki Akele Hain Hum Abhi.
Lekin Jo Sahara Bana Tha Humara,
Ab Lagne Laga Kyun Who Bhi Ajnabi?


16. Patthar Ke Aage Sar Na Jhukana Ke Woh Devta Ho Jaye.
Kisi Se Itni Mohabbat Na Karna Ke Woh Bewafa Ho Jaye.


17. Chaho Toh Dilse Humko Mita Dena,
Chaho To Humko Bhula Dena.
Par Yeh Waada Karo Ki Aaye Jo Kabhi Yaad Hamari Rona Mat,
Sirf Muskura Dena.


18. Sookhe Patte Se Pyar Kar Lenge Hum,
Tujh Par Eitbaar Kar Lenge.
Ek Baar Keh Do Hum Tumhare Hain,
Hum Zindagi Bhar Intezaar Kar Lenge.


19. Kisi Na Kisi Pe Kisiko Aitbar Ho Jata Hai,
Ajnabi Koi Shaks Yaar Ho Jata Hai,
Khubiyo Se Nahi Hoti Mohabbat Sada,
Khamiyo Se Bhi Aksar Pyar Ho Jata Hai.


20. Teri Yadon Se Pyar Karte Hai,
Sau Janam Bhi Nisaar Karte Hai,
Kabhi Fursat Mile To Aakar Milna,
Hum Aaj Bhi Tera Intezaar Karte Hai


21. Majboori Kya Thi Unhone Batayi To Hoti,
Judai Ki Baat Yu Sunaayi Na Hoti,
Apne Kabar Ki Mitti Bhi De Dete Unhe,

Mere Maut Ki Khwaish Jatayi To Hoti.

22. Agar Khuda Deta To Hum,
Kuch Aur Reham Mang Lete,
Agar Khareed Leta To Meri Khushiyan Bechkar,
Aapka Har Gam Khareed Lete.


23. Na Milne Ki Khushi Na Bichadne Ka Gam,
Na Ankh Me Aansu Na Udas Hai Hum,
Kaise Kahe Kaise Hai Hum,
Bas Yun Samaj Lo Bahut Akele Hai Hum.

24. Ulfat Ka Dastoor Hota Hai,
Jise Chaho Woh Door Hota Hai,
Dil Toot Kar Bikharte Hai Is Kadar Yaaro..
Jaise Koi Khilauna Choor Choor Hota Hai.


25. Zindagi Toh Woh Hai Sang Tumhare Jo Guzre,
Duniya Ke Gamon Se Ab Chura Lo Mujhe,
Meri Sabse Gehri Khwaish Ho Poori,
Tum Agar Paas Apne Bula Lo Mujhe.


26. Na Thi Chah Kabhi Mujhe Maykashi Ki,
Jaam-E-Wafa Kisi Bewafa Ne Pilaya,
Kya Muqaddar Se Shikwa Karte Rahe,
Jo Kismat Mein Tha Wohi Kuch To Paaya.


27. Mai Janta Hun Ke Ye Khwab Jhute Hain,
Aur Ye Khushiya Adhuri,
Magar Zinda Rehne Ke Liye Mere Dost,
Kuch Galatfaimiyan Jaroori Hain!!


28. Mai Janta Hun Ke Ye Khwab Jhute Hain,
Aur Ye Khushiya Adhuri,
Magar Zinda Rehne Ke Liye Mere Dost,
Kuch Galatfaimiyan Jaroori Hain!!


29. Har Lamha Uska Intezaar Aaj Bhi Hain,
Uski Berukhi Par Aitbaar Aaj Bhi Hain;
Khushiyon Ka Daaman Chod Diya Hain,
Uske Diye Dard Se, Mujhe Aaj Bhi Pyaar Hain


30. Waqt Ki Rahon Me Tum Bhula Do Chahe Hume,
Par Hum Tumko Bhula Nahi Payenge.
Tere Pyar Ki Kasam Aye Sanam!Tu Awaz De Sapno Me,
Hum Haqiqat Main Chale Ayenge.


31. Bujhi Hui Shama Phir Se Jal Sakti Hai,
Tufano Me Ghiri Kashti Kinare Lag Sakti Hai.
Mayus Na Hona Zindagi Me Dost, Ye Kismat Hai,
Kabhi Bhi Badal Sakti Hai.


32. Agar Hum Yaad Nahi Karte To Bhulate Bhi Nahi,
Hum Hasate Nahi To Rulate Bhi Nahi,
Hum Roz Naye Dost Banate Na Ho,
Par Jo Banate Hain Unhe Gawate Bhi Nahi.


33. Bahut Roya Mai Usko Yad Karke,
Yun Apani Har Khushi Barbad Karke,
Usi Dar Pe Mai Wapas Aa Gaya Hun,
Chala Tha Janha Se Unmad Karke.


34. Honthon Ne Jiska Zikr Na Kiya Ho,
Aankhen Uska Paigam Deti Hain;
Duniya Se Usko Chupayen Kaise,
Har Dhadkan Jo Uska Naam Leti Hain.


 
 
  Today, there have been 38 visitors (44 hits) on this page!  
 
copyright by @ dr.Pravin Kucha - 2010
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free