page contents pravin_doctor - Shayari 3 If any suggestion please write me at pravin_doctor@rediffmail.com
   
  pravin_doctor
  Shayari 3
 
Tera sath hum is tarah nibhayenge,
tu roz khafa hona hum roz manayenge,
par man jana hamare manane se,
varana ye bhigi palake leke khaha jayenge...R

Puchhana to ek bahana tha,
irada to kuchh pal churana tha,
aap hume yad kare na kare koi bat nahi,
par aap ki yad aati hai itana hi batana tha..

Dil ki galiyo me koi gam na ho,
hamara rishta kabhi kam na ho,
ye dua hai ki tum sada khush raho,
kya pata hum kal ho na ho...

Bina chot khaye aehasas nahi hota,
har koi duniya me khas nahi hota,
magar jin ki aarzoo dil se hoti hai,
kabhi kabhi kyo vahi hamare pas nahi hota...R

Dur hote huye bhi pyar ka rishta nibhate hai aap,
na jane dil ko kyo lubhate hai aap,
ye kaisa karishma hai kudarat ka,
ho hum ko itana yad aate ho aap...

Ho chuki rat bahot ab so bhi jaiye,
jo hai dil ke karib us ke khyale me kho bhi jaiye,
kar raha hoga koi intzar aap ka,
khwabo me hi sahi un se mil to aaiye...R

Yad aana fitarat hai hamari,
bhul jana aap ke naseeb me nahi,
hum ko malum hai hum aap ko hai lubhate,
isliye to ye rishta duriyo se bhi nibhate...KP

Pyar chiz nahi jatane ki,
hume aadat nahi kisi ko bhulane ki,
hum isliye milate hai kam,
kyonki nazar lag jati hai rishto ko jamane ki...CP

Rukava dena mera janaza gali me,
jab un ka ghar aaye,
shayad vo nikale khidaki se,
our mera dil dhadak jaye... Dh

Log milate hai bichhad jate hai,
sirf dil ke tar chhed jate hai,
yu to lete hai hazaro ka nam,
par kuchh aap jaise nam dil me utar jate hai...R

Sirf yado ka silsila rah gaya,
khuda jane un se hamara kya rishta rah gaya,
ek chand chup gaya jane kaha.?,
our ek sitara use dhudhata rah gaya...R

Yar chupata nahi ankhe chupane se,
dil rukata nahi kisi ke samajane se,
ruk jati hai dhadakan aap ko bhul jane se,
hum aap ko yad karate hai jine ke bahane se...R

Jo yad hi na aaye vo pyar hi kya.?,
jis ke pas yar hi na ho vo pyar hi kya,
pyar to dusara nam hai khuda ka,
our jo pooja na jaye vo khuda hi kya...KP

Dikhane me lagati thi bahot suhani,
hum samajhate the vo hai meri diwani,
thi vo mere dil ki dhadakan ki rani,
par kya pata thai layegi ek din hamari ankh me pani...KP

Unhone hamare pyar ka nagma kabul kiya,
pal bhar yu laga ki mera dil gaya,
ja ke paigam ye pohachaye asma ko,
ki tere hazaro sitaro ka chand mera ho gaya...KP

Gam me has ne valo ko kabhi rulaya nahi jata,
laharo se pani ko hataya nahi jata,
honevale ho jate hai khud hi dil se apane,
kisi ko kehakar apana banaya nahi jata...R

Pal hi aisa tha ki hum inkar na kar sake,
jamane ke dar se ikarar na kar sake,
na thi jin ke bina zindgi munasib,
chhod diya unhone our hum ek saval bhi na kar sake...P

Koi itana chahe tumhe to batana,
koi tumhara naz uthaye to batana,
pyar kar to leta hai har koi,
koi hamari tarah nibhaye to batana...

Chand jab chhat par aaye,
tab teri bahot yad aye,
ye teri yad bahot sataye,
kaise kahu yahi mujhe tadapaye,
aesi teri yad aaye...KP

Saz-ye -dil me fasane bahut hai,
zindgi jine ke bahane bahut hai,
aap sada muskurate raho,
aap ki muskurahat ke diwane bahut hai...R


 
 
  Today, there have been 77 visitors (86 hits) on this page!  
 
copyright by @ dr.Pravin Kucha - 2010
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free