page contents pravin_doctor - shayari19 If any suggestion please write me at pravin_doctor@rediffmail.com
   
  pravin_doctor
  shayari19
 
35. Ishq Jab Sansose Ruhme Utar Aata Hai,
Dilse Chain Aur Ankhose Nind Jata Hai;
Fir Karle Chupaneki Koshishe Lakh!
Ishqka Khumar Ankhome Nazar Aa Jata Hai.

36. Ruth Gaya Hai Manane Wala,
Ab Koi Nahi Mere Naaz Uthanewala;
Jane Kya Sochta Hai Yeh Khula Darwaza,
Shayad Rasta Bhool Gaya Hai Koi Aanewala.


37. Chalte Chalte Rukna Chaha, Ruk Na Paye;
Waqt Ki Shakh Par Sukhe Patte Todna Chaha, Tod Na Paye;
Sanam Ka Hath Thame Jile Zara,
Darta Hun Jaan Chali Ne Jaye.


38. Gumsumsi Khamosh, Mann Me Lagan Mathe Pe Josh,
Katla Karti Nazre, Har Ada Sarfarosh;
Kabhi Karti Jadu Woh, Kabhi Udati Hosh.


39. Oss Mein Doobi Pattiyon Mein Nazar Aati Hain Tu,
Raat Chandni Mein Sitara Ban Gungunati Hain Tu,
Tabhi Likhta Hoon Gazal Jab Yaad Aati Hain Tu.


40. Dilonse Jude Rishte Toot Jate Hai,
Kya Hota Hain Nahi Malum, Bus Apne Rooth Jaate Hai;
Laakh Dekhe Manzile Khuli Nazronse,
Raste Magar Chhoot Jate Hai.


41. Yeh Shyam Ka Dilkash Manzar,
Yeh Sahil Aur Samandar; Lehren Karti Ret Par Atkheliya,
Jaise Teri Aankhon Ki Paheliya.


42. Yaad Aati Hain Mogre Ki Kiyariyan,
Chedna Tera, Teri Hasti Sakhiyan;
Kaise Bhulaoon Woh Khel Tere Sang,
Marham Tere Haathon Ka, Woh Ladai Ke Rang!


43. Haya Labon Par, Kisi Kone Se Mujhe Dhoondti Nazar;
Palke Deti Hain Sada, Khamosh Tumhari Har Ada;
Kaise Na Ho Koi Madhosh! Qayamat Uff Qayamat!


44. Socha Na Tha, Yun Badal Jayegi Zindagi;
Beech Majdhar Tera Chehra Bun, Nazar Ayegi Zindagi;
Rang Layega Mera Junoon! Teri Ankhon Me Muskurayegi Zindagi.



45. Zindagi Haseen Hai, Zindagi Se Pyar Kar;
Hai Raat To Kya! Subah Ka Intezar Kar.
Tu Chal Jala Kar Arzuon Ke Diye,
Intehan Ka Daur Sahi! Khud Par Aitbar Kar.

46. Yaad Aate Hain College Ke Woh Din,
Kitab Ke Pannon Mein Mudi Mohabbatein; Masoom Si Harqat,
Nanhi Si Shararatein,

 Kaash! Zindagi Wahin Thehar Jaati.


47. Likhne Ko Bahut Kuch Hai,
Kya Likhe Hum Wo Sitara Chamakta Hai Ankhon Me;
Wo Chehra Goonjta Hai Yadon Me Jo Dekha Hai Sapno Me Darte Hai,
Kaise Likhe Hum.


48. Gum Ki Parchaiyan, Yaar Ki Rusvaiyan;
Wah Re Muhobbat! Tere Hi Dard Aur Teri Hi Dawaiyan.


49. Kabhi Mathe Pe Chamakta Chand,
Kabhi Hontonpe Dahakta Chand;
Kabhi Badalon Me Chhupta Chand,
Kabhi Khidki Se Muskurata Chand.


50. Hasti Hui Ankhon Me Bhi Sailaab Hote Hai,
Kismat Karti Hai Kayin Sawal,
Dhoondho! Sawalon Me Bhi Jawab Hote Hain.


51. Dil Ke Afsane Hote Hai Hazar,
Kahin Romeo Ki Kabr, Kahin Ghalib Ki Mazar;
Lakh Juda Kar Lo Ishq Karne Valon Ko,
Naye Rang Me Lautenge Deewane Har Bar.


52. Lakiron Ka Khel Nahin, Dilon Ka Mel Hai Yeh Bandhan;
Jeene Ka Andaz, Sapnon Ka Agaz Hai Yeh Bandhan;
Zamana Chahe Mita De, Mit Kar Bhi Nibhayenge Yeh Bandhan.


53. Chal, Chale, Hath Thame,
Do Kadam Aasmaan Churane Ke Liye
Ke Phir Sadiyan Lag Jaye Yeh Rishta Bhulane Ke Liye.



54. Kabhi Unki Meherbanian, Kabhi Pareshanian;
Wafa Ke Mane Bewafai Ke Subub,
Haton Se Fisalti Zindagi, Intezar Qayamat Tak;
Yehi Sab Diklata Hai Pyar, Hai Na?


55. Majboor Yeh Halaat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi,
Gum Ki Ek Raat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi;
Yeh Kaisi Muhobbat Hai Khuda!
Ankhon Mein Barsaat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi.


56. Yadon Ka Dhuan, Sapno Ki Sahar;
Voh Masoom Sa Chera Voh Khamosh Nazar;
Socha, Bahut Kuch Kahe Usse;
Kuch Bhi Na Kah Paye Magar.


57. Socho To Ek Irada Hai Zindagi,
Karo To Ek Vada Hai Zindagi;
Kya Mukharna Apne Vadon Se,
Jiyo To Ek Ada Hai Zindagi.

58. Patni Ka Dil Kabhi Na Dukhayen.
Woh Sab Chhod Aayi Hai Tumhare Liye,
Yahan Tak Ke Apna Surname Bhi.

59. Sahi Umra Mein Shaadi Karne Se Ek Doosre Ka Ban Jaana Aasaan Hota Hai.
Rishte Mazboot Bante Hain, Gehre Hote Jaate Hain.


60. Shaadi Mein Sabse Zaroori Hai Ek Doosre Ke Prati Trust, Honesty Aur Respect.
Humein In Shabdon Ka Matlab Kabhi Bhoolna Nahin Chahiye.


61. Log Zindagi Bhar Chahat Ki Khoj Mein Bhatakte Rehte Hain.
Vivah Ki Pratha Aisi Pratha Hai Jisme Chahat Humein Saugaat Mein Milti Hai.


62. Na Jaane Kaun Premiyon Ko Ek Duje Ke Dil Ka Pata Deta Hai,
Jab Pyar Ho Jaata Hai, To Zamane Ko Bata Deta Hai.


63. Jab Do Premi Ek Duje Ki Taraf Dekhte Hain, Muskurate Hain,
Waqt Tham Jaata Hai, Zamane Beet Jaate Hain.


64. Sagai Ki Angoothi Anmol Hoti Hai.
Ek Chhote Se Chhalle Mein Kisi Ka Dil Atak Jaata Hai.


65. Premika Zindagi Mein Prerna Banke Aati Hai.
Dukh Aadhe Kar Deti Hai Aur Khushiyan Dugni.


66. Arranged Marriage Ya Love Marriage, Dono Sahi Hain.
Apne Jeevan Saathi Ko Paane Ke Raaste Hi To Hain.


67. Tu Kabhi Waqt Ke Sehra Mein Saath To Chal,
Phool Bankar Teri Rahon Mein Bikhar Jaungi!


68. Na Ye Nazare Hote Agar Sitare Na Hote,
Lehre Bhi Bhatakti Agar Kinare Na Hote.
Kahan Jake Zindagi Fariyad Karte,
Agar Zindagi Me Aap Jaise Sahare Na Hote.


69. Log Samajte Hai Humne Tumhe Bhula Rakha Hai,
Woh Nahi Jante Dilme Chupa Rakha Hai,
Dekh Na Le Koi Tumhe Meri Ankho Me,
Is Darse Palko Ko Jhuka Rakha Hai


70. Geele Kagazki Tarah Hai Zindagi Apni,
Koi Jalata Bhi Nahi Koi Bahata Bhi Nahi,
Is Kadar Akele Hai Dilki Rahon Me,
Koi Satata Bhi Nahi Koi Manata Bhi Nahi


71. Teri Tasvir Aankho Mein Basi Kyu Hai,
Jidhar Dekho Udhar Tu Hi Kyu Hai,
Teri Yadon Se Wabasta Taqdeer Hai Lekin,
Tujhe Na Pakar Taqdir Roothi Kyu Hai

 
 
  Today, there have been 71 visitors (80 hits) on this page!  
 
copyright by @ dr.Pravin Kucha - 2010
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free