page contents pravin_doctor - shayari21 If any suggestion please write me at pravin_doctor@rediffmail.com
   
  pravin_doctor
  shayari21
 
106. Na Baton Me Batate Hai Log,
Na Chehre Par Dikhate Hai Log;
Khushboo Ki Tarah Bikharta Hai Pyar,
Phir Bhi Chhupate Hai Log.

107. Koi Humein Jee Bhar Ke Dekhe,
Yeh Haq Sirf Ek Baar Diya Jaata Hai.
Faisla Soch Samajh Kar Kijiye.


108. Sagai Ke Baad, Achanak Humara Khayal Humse Zyada Koi Aur Rakhne Lagta Hai.
Yehi To Hai Pyar, Is Rasam Se Mila Adhikaar.

109. Hum Ladkiyon Ke Liye Humare Maa Baap Kya Kya Nahin Karte,
Kya Kya Nahin Sehte, Yeh Humein Kabhi Bhoolna Nahin Chahiye.


110. Jo Hamari Yaad Mein Tadpe, Humein Milne Ko Tarse, Yehi Sachcha Pyar Hai.


111. Swarg Mein Tay Hota Hai Vivah Ka Bandhan,
Dharti Pe Judta Hai Yeh Gatbandhan.


112. Prem Bhi Kya Cheez Hai. Koi Hansta Hai Aur Khushi Kisi Aur Ko Hoti Hai.
Koi Rota Hai Aur Dukh Kisi Aur Ko Hota Hai.


113. Sagai Aur Shaadi Ke Beech Ka Samay Hume Milta Hai Parakhne Ke Liye.
Dil Jaan Leta Hai, Manzil Sahi Hai Ya Galat.


114. Dil Ishaaron Mein Jab Baat Karne Lage,
Bin Kahe Bin Sune Sab Samajhne Lage,
Bas Yehi Pyar Hai.


115. Ek dil mere dil ko zakham de gaya,
Zindagi bhar jeene ki kasam de gaya,
Lakho phoolon me ek phool chuna humne,
Jo kanto se gehri chubhan de gaya.


116. Aasuo ke chalne ki awaaz nahi hoti,
Dil ke tootne ki aahat nahi hoti,
Agar hota khuda ko har dard ka ehsaas,
To use dard dene ki aadat nahi hoti.


117. Is jaan ki zaroorat ho tum, Har pal mein bas gaye ho tum,
Kab se na jaane, Har murad me shamil ho tum.


118. Yeh kaisi uljhan hain dil mein,
In uljhano ko suljhaye to suljhaye kaise,
Tum bin jeena hoga, Dil ko bataye to bataye kaise...


119. Dard se dosti ho gayi doston,
Zindagi bedard ho gayi doston,
Kya hua jo jal gaya ashiyan hamara,
Magar door tak roshni ho gayi doston.

120. Jinhe dilse chaha Jinhe dilse pooja,
Nazar aa rahe hai wohi ajanabi se.

Ravaayat hai shayad ye sadiyo purani,

Shikayat nahi hai koi zindagi se.

121. Woh yaad aaye bhulate bhulate,
Dil ke zakhm ubhar aaye chupaate chupaate,
Sikhaya tha jisne hasna, Useene rula diya hasate hasate.


122. Hawao Me Udta Awara Badal Hoon Main,
Tanhaiyon Me Apne Mann Ko Sehlata Hoon Main,
Khud Se Hi Lipat Ke Roya Hoon,
Ek Bheega Sa Aanchal Hoon Main.


123. Zindagi Mohtaz Nahi Hain Manzilo Ki,
Waqt Har Manzil Dikha Deta Hain,
Marta Nahi Koi Kisise Juda Hokar,
Waqt Sabko Jeena Sikha Deta Hain.


124. Mahek Dosti Ki Kam Nahi Hogi,
Dosti Se Zindagi Kam Nahi Hogi,
Agar Zindagi Me Aapka Saath Ho To,
Zindagi Jannath Se Kam Nahi Hogi.


125 Dilke Taranum Me Ek Raginisi Behti Hai,
Aapse Har Waqt Mulaqat Ki Arzu Rehti Hai,
Na In Nazarone Kabhi Apka Didar Kia,
Aapki Yaad Inhe Bhi Aati Rehti Hain.


126. Tera Deewana Hoon Inkaar Nahi,
Kaise Keh Doon Tujhse Pyar Nahi,
Kuch Shararat Teri Aankho Ki Bhi Hain,
Main Akela Toh Gunehgar Nahi.


127 Pyar Karo Kisise,
Toh Yeh Janna Zaroori Hain,
Ki Rahega Woh Wafadar Umr Bhar,
Ya Usme Bhi Majboori Hain.


128. Dil Ki Dhadkan Dhadka Gaya Koi,
Mere Khwabon Ko Mehka Gaya Koi,
Hum Anjane Raho Par Chal Rahe The,
Achanak Hi Raasta Bata Gaya Koi!


129. Hume Kis Kadar Unse Pyar Hai Koi To Samjhae Use,
Woh Kyun Mujhse Door Hai Aur Kya Khata Hai Meri,
Aise Na Mujhe Rulae Koi To Samjhae Use.


130. Ab Is Virane Me,
Na Koi Saathi Na Koi Manzil,
Gum Ke Sagar Me Doobi Hui,
Kashti Hai Par Hai Kahan Sahil.


131. Pyar Ki Kali Sab Ke Liye Khilti Nahi,
Chah Kar Bhi Har Ek Cheez Milti Nahi,
Sacha Pyar Kismat Se Milta Hai,
Par Har Ek Ko Aisi Kismat Milti Nahi.


132. Kuch Gam Kuch Jazbe Siye Hue,
Kuch Pakke Kuch Kache Lamhe Jiye Hue,
Uth Raha Hun Yaron Ki Mehfil Se,
Dard Sa Dil Me Liye Hue.

 
 
  Today, there have been 62 visitors (70 hits) on this page!  
 
copyright by @ dr.Pravin Kucha - 2010
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free